be-haya chaandni chhat par bichhi hui hai
muskuraate hue kahti hai "aao, yahaan let jaao"
door, siyah falak mein
taaron ne aankhen bandh keen,
phir kholeen, phir bandh keen:
sharmaati hui saheliyaan hon jaise -
haya bhi, dilchaspi bhi
baam tale, ghane darakhton mein,
hawa ne patton se chupke se kucch kaha
aur woh hasne lage,
haste-haste hilne lage
ghaas ki taraf nazar ki,
so woh bhi sharm se paani thi
main naatawaan kya karta?
saari khudaai se tanha kya ladta?
darya-e-ishq mein bah gaya
subah hui, toh rukh-e-falak par
har-su haya ki laali thi
No comments:
Post a Comment