Ae gham, mere ham-dam
Karz-daar hoon mai tera
Ke tera hona gawaah hai
Ke uski yaad ab-bhi zinda hai
Gar tu na hota
Toh woh haseen, qaatil yaad
Kahaan basar karti?
Gar tu na hota
Toh woh yaad aahista-aahista marti
Jaise marti hai shab-e-wisaal
Tadap-tadap kar, aahista
Ae gham, mere ham-dam
Karz-daar hoon mai tera
Ke tera hona nishaani hai unki
Jo log mile, jo rishte khile, jo yaar bichhde
Gar tu na hota
Toh woh milne aur bichhadne ke beech ka waqt
Kaise saans leta?
Gar tu na hota
Toh woh waqt dam tod deta
Jaise dam tod-te hain armaan
Sisak-sisak kar, aahista
Ae gham, mere ham-dam
Karz-daar hoon mai tera
Ke tera hona saboot hai
Ke ye dil ab-bhi dhadaktaa hai
Gar tu na hota
Toh ye naadaan, naatawaan dil
Kis taal ke sahaare chalta?
Gar tu na hota
Toh ye haara-hua dil chup ho jaata
Jaise chup ho jaati hain nigaahen
Baras-baras kar, aahista
No comments:
Post a Comment