Phir aayee ho tum
Apni ghani, siyah, mushkbaar zulfen
Chaandni se dhoye hue
Phir aayee ho tum
Apne gudaaz jism ka ang-ang
Karodon anjum-zeba kiye hue
Awr mein, zamaanon se aashiq tumhaara
Hamesha ki tarha muntazir hoon
Apni abas aas par aitbaar kiye hue
Insaan ho koi
Toh gala ghont bhi daloon
Magar umeed kahaan marti hai?
Umeed ye nahin ke is baar
Tum thaihar jaaogi
Mere hujra-e-weeraan mein
Basar kar jaaogi
Mera tassawur itna bhi naadan nahin
Meri taqdeer itni bhi buland nahin
Umeed sirf itni ke is baar
Tum mera haath thaam kar
Wahaan, door, ufaq paar
Mujhe apne saath le chalo
Jahaan tumhaare siwa kuchh bhi nahin
Ae meri maihboob raat
Kabhi toh apne aashiq ki rakh le baat
Kabhi toh le chal mujhe apne saath
Sifar bhai, lyrical. Wonder if a singing talent can this one wings!
ReplyDelete