Aaj woh ghazal padho Sifar, jo bayaan-e-gham na ho
Sun kar jisey dil na baithe, awr aankh nam na ho
Tum aaoge zaroor, chalo maana hamne hamdam
Magar yun na ho ke tab tak, dam mein dam na ho
Woh shaayari kaisi, jis mein dard na dhadke
Woh aashiqi hi kya jo daur-e-sitam na ho
Chaahe bahta rahe lahu, bharti rahe maqtal
Josh-e-junoon-e-ishq magar hargiz kam na ho
Sune bauhat hain Sifar paak-dili ke fasaane
Kisey poochchti hai duniya gar jeb pur-rakam na ho
No comments:
Post a Comment