Labon se aah na nikli, toh fughaan nikli
Gham-e-ishq sheyr mein na nikla, toh jaan nikli
Muddaton hasrat-e-wasl thi pinhaan seene mein
Aaye woh mazaar par meri, so yahaan nikli
Abhi-abhi toh bhari thi, khaali kyon hai pyaali?
Kaun chheen gaya jam-e-mai, kaho kahaan nikli
Socha tha dhadkan-e-dil rakhegi baat hamaari
Magar dekha jo us husn ko, bezubaan nikli
Zindagi ek gaihra raaz hai Sifar, kya kahiye
Kaheen se aayi thi idhar woh, wahaan nikli
No comments:
Post a Comment