Sun kar kal shab ghazal meri karte the woh "wah-wah"/
Magar aaj sar-e-raah kya mukarte the woh wah-wah
Utarti hai jaise mai chhanakti hui pyaale mein/
Is weeraan khaana-e-dil mein utarte the woh wah-wah
Kahne ko toh unhe ham mein koi dilchaspi na thi/
Lekin roz-e-mulaakaat yun sanwarte the woh wah-wah
Hamne jo junoon-e-ishq ek baar jaan di so di/
Afsos khauf-e-ruswaai mein roz marte the woh wah-wah
Guzri ho naseem-e-sahar gulistaan se jis tarha/
Yun baagh-e-khayaal se mere guzarte the woh wah-wah
Aise toh raaz-e-haq ke aashiq awr bhi the Sifar/
Magar chaihre se haqeeqat ke darte the woh wah-wah
No comments:
Post a Comment