Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
Jahaan se guzarta hoon, kahte hain log
“Zara dekho is dil-phaink deewaane ko
Kaise be-jhijak milta hai gale
Har jaane-anjaane ko
Kya jaanta nahin, yeh kalyug hai?
Yahaan apnon ke haathon bhi khanjar hua karte hain”
Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
Yun nahin, ke gham-e-duniya-o-ulfat ka pata nahin mujhe
Magar kuchh khaas ranj-e-dosh-o-fikr-e-farda nahin mujhe
Ek akele alam-naseeb-o-dil-figaar hone ka daawa nahin mujhe
Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
Logon ko meri hansi par bhi aitraaz hua karta hai
“Yahaan gham-e-rozgaar se jaan pe ban aayi hai
Kahaan kamaai toh kahaan jaan-leva mehngaai hai
Chithde hai pairahan, bhook se aashnaai hai
Aur is befikre ko bewajah hansi aayi hai!”
Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
Tooti hui tamannaon se paaon bacha kar chala hoon
Shab-e-hijr ki bepanah chaandi main aksar jala hoon
Magar baank-pan ab bhi mera wohi hai ke jo tha
Sar pe kafan ab bhi wohi hai ke jo tha
Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
Na jaane kidhar ko jaati hai yeh raah, kahaan hai manzil
Kis makaam par jaake rukega karvaan-e-gham-e-dil
Kya khulega hadd-e-nazar se paar manzar
Nilkenge jhoote waade jannat ke, ya hai duaaon main asar
Labon pe ek geet liye chalta hoon
Dil mein madhur sangeet liye chalta hoon
No comments:
Post a Comment