Yun toh nazr-e-karam ham par kabhi mehrbaan na thi
Magar Sifar, aisi bhi kabhi khatra-e-jaan na thi
Go aazaad na tha desh, ek bulandi-e-khayaal thi
Dilon par jo yeh ab si zanjeer-e-giraan na thi
Khoya kyon tamkeen-o-hosh, yeh kaise kahein ab ham
Bas ik teer-e-nigaah chali, phir aql-o-jaan na thi
Kuchh awr jab na tha, bas uski saans goonjti thi
Ham awr tum tab na the, yeh tangi-e-aasmaan na thi
Kahne ko toh ham bauhat kuchh kah jaate, ae Sifar
Afsos apni daastaan kaabil-e-bayaan na thi
No comments:
Post a Comment