Sab siyah hai
Andar awr har su
Phir ye rawshni kya?
Jo yak-ba-yak
Aankhon ko andhiya jaati hai
Band-o-ruki-o-sadi hui
Ruh ki bu
Naak mein dam
Magar ye door kahin
Se aati hui khushboo si kya?
Jo khule dareechon se ghus kar
Dil-o-dimaagh par chhaa jaati hai
Har usool bik chuka
Har jhoot dauhraaya ja chuka
Phir ye aaeena kya?
Jo har jhoot se pare hai
Ye sargarm daud siyahi ki taraf
Hosh-o-hawaas ghadi-bhar ke mehmaan
Phir ye bharosa kaisa?
Hamesha mein
Kuchh aisi hai ma ka aangan
Go tum bhool chuke ho
Apne ghar ko
Usney tumhein nahin chhoda
Usney tumhein nahin chhoda
No comments:
Post a Comment