Aao, phir ek baar gulshan-e-yaad ki sair karen tum-ham
Liye haathon mein haath phir chalen do-chaar kadam
Jodkar nigaahon se nigaahen baithen muqaabil kuchh dam
Ye woh gulshan hai jisme khizaan aati hi nahin
Chhod kar jisey khushboo-e-naseem-e-sahar jaati hi nahin
Na murjhaate hain phool, na hi zard patte jhada karte hain
Na hota hai ishq rusva, na ushaak-o-but bichhadte hain
Yahaan doobe hue dilon ki sada aati hi nahin
Maana ke ye sirf ek khwaab hai, magar haseen toh hai
Go apni kismet pe nahin, apne khwaabon pe yaqeen toh hai
Toh aao, phir is chaman-e-khwaab ko chalen ham
Door zamaane ki nazron se gale milen ham
No comments:
Post a Comment