hasti ka apni bas yehi saamaan rahega
baad-e-marg bhi tera armaan rahega
sar-e-baazaar munh pher liya, chal yoon sahi
khaak par bhi meri kya tu anjaan rahega?
jama karta hai jo ye takht-o-taj-o-daulat
bata kitne roz idhar mehmaan rahega?
ku-e-yaar mein ae dost, nazren giraa ke chaliyo
mil gayee jo nigaahen toh bejaan rahega
ho chuka ghaafil apni khudaai ke sabab se
phir kaise nishaan-e-aadam insaan rahega?
chal diya gar Sifar uth kar mahfil se
ik umr tak ye thikaana sunsaan rahega
No comments:
Post a Comment