Aur kuchh bhi ho hamse, bas ek jurm-e-ishq na ho
Gunaah woh ho jo khud apni saza na ho
Har zarra farozaan hai uske hi noor se
Khurshid bhi bujh chale agar uski raza na ho
Kaee din se haal dil-e-zaar ka patla hi hai, Sifar
Ye sada jo hui kiwaar par, kahin qaza na ho
Jab tum bichhad chuke, to bahaar ko bhi rok lo
Ghazal-khwaan gulistan na ho, mushkbu faza na ho
Shahr-e-husn-e-beparwah ka insaaf kya kahiye
Qatl bhi ho, qaatil bhi ho, magar janaaza na ho
Jashn-e-marg-e-Sifar hai saqi, khaatir kuchh khaas ho
Koi rind hosh mein na rahe, koi be-maza na ho
No comments:
Post a Comment