Abr oonche shajaron ko gale lage hue
jaise koi nayee dulhan
saiyaan jiska jang ki jaanib
Awr nadi daudti rahi
Neem-siyah abr
Se siyah pahaad
Siyah pahaadon
Se siyah-tareen
Oonche shajar
Awr nadi daudti rahi
Abr ki dukthar
Barsaat ke daane
Bosa-e-lab patton ki jaanib
Ek taraf qaasid baadal
Kuchh yun hai junoon-e-ishq
Betaab-o-bewaqt
Awr nadi daudti rahi
Adh-pinhaan teen-chauthaai mahtaab
Paudi dar paudi aabla-e-pa
Chadhta hai pahaad
Fakir qaainaat ka
Jiske zaanu bol gaye hain
Awr nadi daudti rahi
Bhed awr unka maalik
Maano bin soche chadhte hain
Jaise kisi atfaal ke bhooke haath
Ma ki chhaati par
Haajit-mandi
Dushman-e-khauf hai
Awr nadi daudti rahi
Seb ki fasl qalam hui
Be-baat-o-be-wajha
Be-waqt-o-mausam
Barf ke haathon
Yehi kuchh hai raaz-e-haq
Kisi peer ki zubaani
“before and after follow each other”
Zindagi awr mawt dushman nahin
Bhai hain
Awr nadi daudti rahi
Abr ki dukhtar
Maashooka-e-mahtaab
Sar-zameen ki laadli
Waalida-e-haq
Nadi daudti rahi
Daudti rahi
Daudti rahi
Daudti rahi
No comments:
Post a Comment