Dil-o-dimaagh maazi mein dooba hua
Kya kuchh ho sakta tha
Log anjaane, raahen andekhi
Awr raat yun tapakti hai
Jaise begunaahon ka lahu
Kaaleen ke chithdon par
Iqbal-e-jurm likh jaaye
Falak bhi koi jawaab nahin rakhta
Magar woh toh ek musaafir hai
Hamesha awr hamesha ke beech
Badalti hawa
Koi raasta nahin dikhaati
Thake hue khushk zard patte girte hain
Gul toh kabke gum hue
Is beraham dhaar ko qurbaan
Mawt awr zindagi ki
Awr oonch se neech ki
Pahaad chuppi liye hue hai
Josh-o-harkat uski fitrat nahin
Muntazir hai us sailaab ka
Jo usey choor kar
Phir zindagi de jaayega
Awr insaan baukhlaaya hua
Kuchh izteraab sa
Apni bekaari-o-behisi se anjaan
Raaz-e-haq ki talaash mein
Jab ke woh jaa-ba-jaa hain maujood
Khush agarche be-wajood
No comments:
Post a Comment