Kaainaat ke kisi siyah-tareen kone se aati hai woh
Mere andar hai, ya baahar?
Har ja dikhaaee deta hai
Awr phir bhi, kahin andar
Ek justajoo
Ek ahsaas khaalipan ka
Awr haddon se paar hone ka
Ek dua jo muntazir hai
Agar usey bas dhoond sakoon
Maine uski sada nahin suni
Woh kuchh nahin kahti
Magar ek waada hai
Har raaz kholne ka
Agar main sab kuchh nisaar kar doon
Maine usey dekha nahin
Magar uska chehra hamesha se hai
Hujra-e-zehn mein
Beshumaar dareechon
Ke peechhe kahin
Maine usey mahsoos nahin kiya
Magar uski chhooan hamesha rahi hai
Kabhi maathe par bosa ban kar
Kabhi aariz pe thappad
Phir bhi maathe par bosa
Main nahin jaanta woh kya hai
Main usey Ma ka naam deta hoon
No comments:
Post a Comment