Poochhe koi hum se ke maqsad-e-zindagi kya hai
To itna hi kahenge, ke sawaal achhaa hai
Aage kya khel dikhayegi yeh umr kya jaaniye
Haal ka to yeh hai, ke filhaal achhaa hai
Woh gar hue bhi ru-ba-ru, toh raqib ko liye hue
Kaise kahoon shab-e-hijr se, roz-e-wisaal achhaa hai
Kyonkar ho phir chaah Sifar mehfil-e-jannat ki
Kahte hain husn-e-hoor se, unka jamaal achhaa hai
achhaa laga sun ke ...ke sab kuchh achhaa hai...bahut achhaa hai!
ReplyDelete