shaayar bhi main hoon, ashaar bhi main
nagma bhi main hoon aur nagma-gaar bhi main
gul bhi main hoon, khaar bhi main
nadi bhi main hoon aur uski dhaar bhi main
fateh bhi main hoon, haar bhi main
jaan bhi main hoon aur jaan-nisaar bhi main
saqi bhi main hoon, pyaala-o-jaam bhi main
qaasid bhi main hoon aur paigaam bhi main
subah bhi main hoon, shaam bhi main
ibteda bhi main hoon aur anjaam bhi main
woh bhi main hoon, tum bhi main
haazir bhi main hoon aur gum bhi main
siyah raat bhi main hoon, noor bhi main
banda bhi main hoon aur huzoor bhi main
haqeeqat bhi main hoon, khwaab bhi main
husn-e-butaan bhi main hoon aur naqab bhi main
kare kaise koi mujhko mujhse juda?
sab kuchh main hi hoon aur kuchh nahin bhi main
No comments:
Post a Comment