tarasta hoon uski deed ko main baada-khwaar ki tarah
hai rukh pe lekin zulf-e-siyah pahredaar ki tarah
saqi na pher le kahin apni nazr-e-karam
bahno do yaaron mai ko aaj chashm-e-zaar ki tarah
mahki si hai naseem-e-sahar jaise khushboo-e-dildaar
hai surkhi-e-aasmaan bhi ghaazaa-e-rukhsaar ki tarah
jaaga tha shab-e-hijr bhar chaadar-e-mayoosi odhe hue
subah hui toh gulshan bhi tha ek ujde dayaar ki tarah
jaani hui hai rahguzar, pehchaane hue se log hain
phir kyon hai khauf yahaan basa hua, soo-e-daar ki tarah?
jaata zaroor masjid ko main, maano yaqeen mera Sifar
milta agar wahaan bhi suroor koo-e-yaar ki tarah
No comments:
Post a Comment