yeh kis baat ko lekar pareshaan hum bhi hain, tum bhi ho?
kuchh to maajra hai ke hairaan hum bhi hain, tum bhi ho
hazaaron kasmein khaayeen theen shab-e-ibteda-e-ishq mein
magar har waade se ab anjaan hum bhi hain, tum bhi ho
jo mita de har gham aur bhula de har gila
us chashm-e-qaatil ke kadardaan hum bhi hain, tum bhi ho
shaan-o-shaukat-o-deen-o-imaan sab khote sikke hain
haq toh bas yeh hai ke insaan hum bhi hain, tum bhi ho
hai zindagi par mawt ki mohar lagi hui
sair-e-duniya mein do roz ke mehmaan hum bhi hain, tum bhi ho
kab nahin tha Sifar, ishq par zulm zamaane ka?
phir kya hairat ke tah-e-nok-e-sanaan hum bhi hain, tum bhi ho?
No comments:
Post a Comment