Shaayad yoon hi shab-e-hijr ki guzar ho jaaye,
Shama-e-dil ke jalte-jalte sahar ho jaaye.
Kya gham jo jeete-jee ham pe unki nigah na padhi,
Kya kam ke meri khaak par inaayat ki nazar ho jaaye.
Naale to mere kabhi anjaam ko na pahunche,
Dekhun kahin chuppi-e-mawt ka asar ho jaaye.
Bazm mein meri kisi shab, woh khud-ba-khud chale aayen,
Ho na sakega yeh ejaaz, magar ho jaaye!
No comments:
Post a Comment