August 31, 2010

Fitrat

parvat mahinon ke naam nahin jaante
darya jagaahon ke naam nahin maante
bhed-bhaav unki fitrat mein nahin
us kaam ke liye, insaan hai na

August 29, 2010

Love

the branch bends low with apple blossoms
and yet you know not that Mother loves you?

Indhan

tan toh ye bas indhan hai
antar-man mein aag re
kab tak sapnon bhatkega?
hua savera jaag re

August 27, 2010

kar chalen

chalo, nisaar maalik ko ye dil-o-jaan kar chalen
isi tarha se chukta ye ahsaan kar chalen

the way

It has no form
No delineation
It has no Time
Nor inclination
It comes without calling
Leaves without intimation
It has a Way
But, no destination

kya hota?

main kuchh karta, toh kya hota?
na karta kuchh, toh kya na hota?
hua hai jo, woh hona tha
hua na jo, woh kya hota?

August 15, 2010

baithe rahe

baithe rahe, na kuchh kaha, na hile
bahaar khud-ba-khud aayee, aur gul khile

August 12, 2010

shab-e-hijr

mat poochh ae dost mere, kaise hui guzar shab-e-hijraan mein
raat bhar takiye pe sar yun bhatka, jaise bhatke the moosa sahra mein

gustaakhi muaaf

muaaf rakhna mujhe, ae azeem shaayaron
tumhaare naqsh-e-pa ki khaak, maine maathe pe rakh li hai

jhooti ibaadat

jin ko haqeeqat se hai nafrat, woh jhoot se kaam lete hain
insaan jo ban nahin sakte, woh khuda ka naam lete hain

aankhen

Khalifa - "kya tum hi ho jisne majnoon ko deewaana kiya hai?
lekin tum auron se zyaada khoobsurat kahaan?"

Laila - "chup kar o khalife, tu jaanta hai kya?
tere paas majnoon ki aankhen hain kahaan?"

galat fahmi

jisey tu chidiya samajh baitha, woh toh sirf ek saaya hai
jisey tu duniya maan baitha, woh toh bas maaya hai

nikla hoon

aaj phir kisi khoyee hui yaad ki talaash mein nikla hoon
dekhiye, jannat ya jahannum - kiski talaash mein nikla hoon