April 28, 2010

Kaun Jaane

Kya rang dikhaayega abke mehrbaan kaun jaane?
Kya hoga hashr-e-dil-e-naatawaan kaun jaane?

Charche bahut hain lutf-o-kaif-e-jannat ke magar
Kya khulegi asliyat wahaan kaun jaane?

Har sar jhuka hua hai bhaar-e-khudgarzi se
Chaara-e-dard-e-ghair yahaan kaun jaane?

Dil ko raakh karne ki adaa mein maahir bahut hain lekin
Jaayega kis taraf yeh dhuaan kaun jaane?

Bichhde hain neem-roz ki raushni mein jo saaye
Milenge raat ki siyaahi mein kahaan kaun jaane?

Yeh duniya toh ranj-o-gham ka basera hai, Sifar
Kya hoga is se aage ko jahaan kaun jaane?

April 22, 2010

Mila

Dekhiye kya hamein haasil-e-sabr mila
Bosa-e-lab jo mila, pur-zahar mila

Kuchh khaas nahin tha kal jaam mein asar, yaaron
Hosh hamne shaam khoya tha, sahar mila

Khel tha ya sitam tha jo banayee duniya usne?
Khuda se zaroor poochhenge, agar mila

Suni bahut theen takleefen raah-e-ishq ki hamne
But hamein zyaada hi beraham magar mila

Kahaan-kahaan nahin talaasha hamne usey magar
Aakhir-kaar aaeene mein hamein Sifar mila

April 14, 2010

Aaya Hoon

tum mujhe kya neechaa dikhaaoge, main toh zameen hi se aaya hoon
zameen hi mein dhas jaaoonga kal, sirf aaj-bhar ke liye aaya hoon

yun na lautaao be—aabroo kar ke dar se mujhe, ae ahl-e-karam
maana ke haath mere khaali hain, dil toh duaaen bhar ke laaya hoon

jhukaaoon bhi gar jo kisi ki chaukhat pe sar, kya haasil?
kya le jaaoonga is jahaan se main, kya main saath lekar aaya hoon?

aashiqi–o-ghulaami mein jo farq hai kahta hoon suno
dil bichhaaye gaya tha us ke dar pe main, sar uthaaye laut aaya hoon

na jism mera, na jigar mera, na hi dhadkanen meri apni hai Sifar
har qatra-e-khoon bhi us ka hai, main toh bas us be-shakl ka saaya hoon

April 10, 2010

A Song for Love Lost

There is you
And there is me
Then how do we make three?

Is it he?
Or is it she?
Oh, how do we make three?

Remember we said we would forever be one?
Then, how did we come so undone?
Remember we said there be no you nor me?
Then, how did we make three?
Oh, how did we make three?

We had our song, we had our look.
We had our word, we had our touch.
Was none of that enough?
Or was it all too much?

We felt so right, we felt so free.
Then, how did we make three?
Oh, how did we make three?


There is you
And there is me
Then why do we make three?
Oh, why do we make three?

April 05, 2010

Kisi Ka Bhi Nahin

woh jawaan jo shaheed hua
woh jawaan jo boodhe baap ki lathi tha
woh kis party ka tha?

woh ma jo jal kar raakh hui
woh ma jo apne bachche se sada ke liye bichhdi
woh kis chunav chinh se judi thi?

woh sipahi jisne apne seene mein teen goliyaan khaeen
woh sipahi jo hamesha ke liye aasmaan se pare tainaat ho gaya hai
woh kis dal ka sadasya tha?

woh nanhi aawaaz jo cheekh ban kar nikli
woh nanhi aawaaz jo kuchh ne suni, aur kuchh ne ansuni kar di
woh kis neta ki jai kiya karti thi?

woh lahu jo zahr ban ke is desh ke jism mein dauda
woh lahu jisne har chehre par kaalik laga di
woh kis sangathan ki jaan tha?

shaayad kisi ka nahin
kisi ka bhi nahin

April 02, 2010

Zaroor Hogi

Gar na pahuncha bhi tere muqaam tak Kabir
Magar dekhna us rahguzar pe meri khaak zaroor hogi

Jo na mil paaya gale tujhse Bulleh, to koi baat nahin
Teri mazaar gird meri raakh zaroor hogi

Zubaan-e-Rumi humne maana bemisaal hai
Kuchh to apne bayaan ki bhi dhaak zaroor hogi

Ghalib-o-Mir-o-Faiz-o-Dard shajar-e-sukhan hain ye sab
Sifar ke naam bhi kahin ek shaakh zaroor hogi

April 01, 2010

Inquilab, Dobaara

sookh chukeen khoon ki chheetein
khaak mein mil chuke kuchh jism, kuchh dhooaan ho chale
uth-uth kar khaamosh ho chukin noha-garon ki cheekhein

nakhuda samjhe the jise, saudagar nikla
bana phirta tha jo masiha, sitamgar nikla
maana tha marham mazhab ko, so khanjar nikla

phir bhi koi sailaab-sa kyon nahin aaya?
waqt baang-e-qayaamat kyon nahin laaya?
iksath saal ki aazaadi, magar kya paaya?

abhi nahin hai fursat mahfil-e-jaam-o-subu se
nahin ho paayegi kuchh harkat thande lahu se
chhedna hoga inquilab, phir se, shuru se

Aaya Hai

Na woh aaye hain, na unka paigaam aaya hai
Beshaq dil-e-choor ka waqt-e-anjaam aaya hai

Kya gham ke mere dar par aaya na woh kabhi
Kya kam ke khayal uska subh-o-shaam aaya hai

Yeh gul jo khil rahen hain meri mazaar gird
Jaano ke baad-e-marg unka salaam aaya hai

Na manzil hai, na raah hai, na hi saathi hai koi
Kaisa raah-e-wafa mein yeh maqaam aaya hai

Kyon baadalon ko choomta hua chal raha hoon main?
Suna hai lab-e-butaan pe mera naam aaya hai

Sunte hain chashm-e-zaalim aaj ashkbaar thi
Marna hamara chalo, kuchh toh kaam aaya hai

Nahin hota hai farq deewaangi main oonch-neench ka
Ku-e-yaar mein dekho har khaas-o-aam aaya hai

Ab dekhna deewaangi kahte hain kisey Sifar
Baad muddat pyaase ke haath ek jam aaya hai