November 25, 2010

Yaadein

Aankhen moondta hoon
Toh kaale parde par
Bichhde hue chahre damakte hain
Jaise raat bhar
Aasmaan ki siyah chaadar par
Mare hue tare chamakte hain

Kahaan Jaayein?

Lekar dil-e-khasta-o-deeda-e-nam kahaan jaayein?
Mar chuki tadap-tadap kar shab-e-gham, kahaan jaayein?

Ek muddat se tere sitam rakhe hain sar-aankhon par
Chal diya tu toh daal kar khu-e-sitam, ham kahaan jaayein?

Dillagi karne ko toh hain log bahut duniya mein, Sifar
Chaaragari-e-dil ko milte hain magar kam, kahaan jaayein?

Haan, ukta chuke hain ham bhi is tanz-o-kanaaya se
Magar hai yehi shaihr-e-husn ki rasam, kahaan jaayein?

Junoon-e-ishq mein chhod di duniya hamne
Ab chhod kar teri gali, bata ae sanam, kahaan jaayein?

Yun toh dekha hai ek bheed ko masjid mein jaate hue
Rakhte hain khuda se kuchh aur ta’aluk ham, kahaan jaayein?

Saqi

Dekh, may toh sab tamaam hui
Kar tu ab apni nazar idhar saqi

Gulshan-e-yaad

Aao, phir ek baar gulshan-e-yaad ki sair karen tum-ham
Liye haathon mein haath phir chalen do-chaar kadam
Jodkar nigaahon se nigaahen baithen muqaabil kuchh dam

Ye woh gulshan hai jisme khizaan aati hi nahin
Chhod kar jisey khushboo-e-naseem-e-sahar jaati hi nahin
Na murjhaate hain phool, na hi zard patte jhada karte hain
Na hota hai ishq rusva, na ushaak-o-but bichhadte hain
Yahaan doobe hue dilon ki sada aati hi nahin

Maana ke ye sirf ek khwaab hai, magar haseen toh hai
Go apni kismet pe nahin, apne khwaabon pe yaqeen toh hai

Toh aao, phir is chaman-e-khwaab ko chalen ham
Door zamaane ki nazron se gale milen ham

Raat

Phir kati raat haathon mein khaali jaam liye
Dil mein mauhoom kuchh yaadein, labon pe bhule hue naam liye