February 25, 2011

Rahega

hasti ka apni bas yehi saamaan rahega
baad-e-marg bhi tera armaan rahega

sar-e-baazaar munh pher liya, chal yoon sahi
khaak par bhi meri kya tu anjaan rahega?

jama karta hai jo ye takht-o-taj-o-daulat
bata kitne roz idhar mehmaan rahega?

ku-e-yaar mein ae dost, nazren giraa ke chaliyo
mil gayee jo nigaahen toh bejaan rahega

ho chuka ghaafil apni khudaai ke sabab se
phir kaise nishaan-e-aadam insaan rahega?

chal diya gar Sifar uth kar mahfil se
ik umr tak ye thikaana sunsaan rahega

February 11, 2011

Kuchh Bhi Nahin

akl-o-fikr-o-tamkeen-o-hosh baaton ke siwa kuchh bhi nahin
sach poochho to insaan jazbaaton ke siwa kuchh bhi nahin

kisi pe nazr-e-karam padi kisi ko bosa-e-lab mila
phir kyon kisi ki naseeb mein laaton ke siwa kuchh bhi nahin

na umeed koi na aarzoo na khushboo-e-yaad-e-yaar
is aiwaan-e-dil mein ab siyah raaton ke siwa kuchh bhi nahin

na dhadkanen hamsukhan huin na kaarvaan-e-khaayal hamkadam
kuchh aise rishte hain jin mein mulaaqaaton ke siwa kuchh bhi nahin

nahin jaam-e-mai giraft mein na pahunch hai raaz-e-haq talak
teri laqeeron mein Sifar khaali haathon ke siwa kuchh bhi nahin

Baat Chali

kal shab phir teri baat chali
mat poochh tu, phir kya baat chali

phir wohi be-rang sa din guzra
phir wohi be-inteha raat chali

le gayee jahaan bhi waqt ki chaal
justajoo-e-raaz-e-haq saath chali

jab chali pur-mahak baad-e-naseem
yaad-e-ishq-e-awwal saath chali

dam-bhar ko hui mulaaqaat unse
be-qaraari magar saari raat chali

hua zamaana ke ja chuka Sifar
phir kyon mehfil mein uski baat chali?

Raat Hui

dil se kal shab Sifar kuchh be-jhijak si baat hui
kuch hamne kahi, kuchh usne, aur guzar raat hui

phir unko dekh kar chashm ashk-baar hue
phir unko na-gawaaraa ye arzi-e-jazbaat hui

dhoondne to nikle the khuda ko ham, lekin
us rahguzar pe Sifar, khud hi se mulaaqaat hui

manaao jashn yaaron, chhoote ham is jahaan se
zindagi na hui maano, qaid-e-hayaat hui

ek Sifar ke nahin hone se kya farq hai duniya mein?
phir wohi surkhi-e-subh phaili, wohi mushkbu raat hui

Ghar Apna

ek muddat se hai aag ke lapton mein ghar apna
aao, jala kar shamein kar lo raushan ghar apna

Na Ho

Aur kuchh bhi ho hamse, bas ek jurm-e-ishq na ho
Gunaah woh ho jo khud apni saza na ho

Har zarra farozaan hai uske hi noor se
Khurshid bhi bujh chale agar uski raza na ho

Kaee din se haal dil-e-zaar ka patla hi hai, Sifar
Ye sada jo hui kiwaar par, kahin qaza na ho

Jab tum bichhad chuke, to bahaar ko bhi rok lo
Ghazal-khwaan gulistan na ho, mushkbu faza na ho

Shahr-e-husn-e-beparwah ka insaaf kya kahiye
Qatl bhi ho, qaatil bhi ho, magar janaaza na ho

Jashn-e-marg-e-Sifar hai saqi, khaatir kuchh khaas ho
Koi rind hosh mein na rahe, koi be-maza na ho

Raat

Phir kati raat haathon mein khaali jaam liye
Dil mein mauhoom kuchh yaadein, labon pe bhule hue naam liye

Raat

Phir kati raat haathon mein khaali jaam liye
Dil mein mauhoom kuchh yaadein, labon pe bhule hue naam liye

Gulshan-e-yaad

Aao, phir ek baar gulshan-e-yaad ki sair karen tum-ham
Liye haathon mein haath phir chalen do-chaar kadam
Jodkar nigaahon se nigaahen baithen muqaabil kuchh dam

Ye woh gulshan hai jisme khizaan aati hi nahin
Chhod kar jisey khushboo-e-naseem-e-sahar jaati hi nahin
Na murjhaate hain phool, na hi zard patte jhada karte hain
Na hota hai ishq rusva, na ushaak-o-but bichhadte hain
Yahaan doobe hue dilon ki sada aati hi nahin

Maana ke ye sirf ek khwaab hai, magar haseen toh hai
Go apni kismet pe nahin, apne khwaabon pe yaqeen toh hai

Toh aao, phir is chaman-e-khwaab ko chalen ham
Door zamaane ki nazron se gale milen ham

Saqi

dekh, may toh sab tamaam hui
kar tu ab apni nazar idhar saqi