May 24, 2010

Kahte Hum

Thak gaye daastaan-e-gham-e-ulfat kahte-kahte hum
Aur log kahte hain ke kuchh nahin kahte hum

Baat-baat par aashaar-e-Ghalib padhte the woh
Us baadshah-e-sukhan ke aage kya kahte hum?

Zabaan hili bhi na thi ke uth ke chal diye janaab
Ab tum hi kaho ke haal-e-dil kis se kahte hum?

Sabr maanga tha unhone, so uska ilm na tha
Jaan kahin maangi hoti toh haan kahte hum

Gaye the waan kya-kya gile shikwe lekar
Magar jab sil gaye bose se lab toh kaise kahte hum?

Aksar gham-e-duniya ke fasaane kaha karte hain
Agar ye gham na hota Sifar, toh kya kahte hum?

No comments:

Post a Comment