November 25, 2010

Kahaan Jaayein?

Lekar dil-e-khasta-o-deeda-e-nam kahaan jaayein?
Mar chuki tadap-tadap kar shab-e-gham, kahaan jaayein?

Ek muddat se tere sitam rakhe hain sar-aankhon par
Chal diya tu toh daal kar khu-e-sitam, ham kahaan jaayein?

Dillagi karne ko toh hain log bahut duniya mein, Sifar
Chaaragari-e-dil ko milte hain magar kam, kahaan jaayein?

Haan, ukta chuke hain ham bhi is tanz-o-kanaaya se
Magar hai yehi shaihr-e-husn ki rasam, kahaan jaayein?

Junoon-e-ishq mein chhod di duniya hamne
Ab chhod kar teri gali, bata ae sanam, kahaan jaayein?

Yun toh dekha hai ek bheed ko masjid mein jaate hue
Rakhte hain khuda se kuchh aur ta’aluk ham, kahaan jaayein?

No comments:

Post a Comment