February 11, 2011

Kuchh Bhi Nahin

akl-o-fikr-o-tamkeen-o-hosh baaton ke siwa kuchh bhi nahin
sach poochho to insaan jazbaaton ke siwa kuchh bhi nahin

kisi pe nazr-e-karam padi kisi ko bosa-e-lab mila
phir kyon kisi ki naseeb mein laaton ke siwa kuchh bhi nahin

na umeed koi na aarzoo na khushboo-e-yaad-e-yaar
is aiwaan-e-dil mein ab siyah raaton ke siwa kuchh bhi nahin

na dhadkanen hamsukhan huin na kaarvaan-e-khaayal hamkadam
kuchh aise rishte hain jin mein mulaaqaaton ke siwa kuchh bhi nahin

nahin jaam-e-mai giraft mein na pahunch hai raaz-e-haq talak
teri laqeeron mein Sifar khaali haathon ke siwa kuchh bhi nahin

No comments:

Post a Comment