May 27, 2011

Baaki Hai

Kya khaak apni laqeeren hain, bas teri nazr-e-inaayat, saqi hai
Tere maikhaane mein bauhat hai, yahaan zindagi chutki bhar baaki hai

Naawak-nigaahi-e-jaana poochchte hain, so kaise bataaein logon ko?
Hosh-o-hawaas toh kab ke gum hue, ek wohi dard-e-jigar baaki hai

Khil rahe hain khizaan mein meri qabr par laala-o-gul, toh hairaani kya?
Hue the ek baar unke gesuon se mas haath mere, awr asar baaki hai

Har ja tujhe talaasha hai khuda, har dil ke kone ko tatola hai
Ab soorat awr koi khulti nahin, bas qaza ki rahguzar baaki hai

Ham-zubaan bazm mein maujood koi nahin, kar chale sair-e-duniya sab
Haseena-e-sukhan ki ibaadat ko, ab yahaan sirf Sifar baaki hai

No comments:

Post a Comment