July 13, 2011

Nisaar Doon

Yun toh tujh par jaan-o-imaan, sab nisaar doon
Magar bata kab tu aayega, kab nisaar doon?

Jo ho tu ham-kadam, toh ho raah rang-o-bu se pur
Warna is daur-e-gham ko, tanha bhi guzaar doon

Mazhab ke naam toh, laashein sad-hazaar bichh chukeen
Ho gar kuchh is se aage, toh jaan main bhi waar doon

Umeed-e-wisaal-e-yaar Sifar, toh baaki rahi nahin
Ek hasrat-e-mehr-e-saqi hai, chal usey bhi maar doon

No comments:

Post a Comment