August 10, 2011

Kal Phir Guzri Shab

Shabnam ke moti aankhon se ginte, kal phir guzri shab
Lekar ek ghamon ka lashkar kal phir guzri shab

Tum na aaye lekin, zaalim yaad tumhaari aayee thi
Cheer ke seena meethe khanjar se, kal phir guzri shab

Kahti tha aarzoo-e- dil ke zulfein khole tum aayee ho
Jab siyah-o-mushkbu, chaal nasheeli, kal phir guzri shab

Raah-e-wafa par chalna yaaron, jaano kuchh aasaan nahin
Karvat-karvat ki thokar kha kar, kal phir guzri shab

Kyon rote ho duniya waalon, Sifar ke chal guzarne par?
Phir wohi subha wohi shaam hui, kal phir guzri shab

No comments:

Post a Comment