December 28, 2011

Mehmaan Tha

Sard seena-e-shab mein utra sahar ka garm khanjar/
Awr phir jo har-ja aasmaan tha, so lahu-lohaan tha

Yun toh gham ke sad-hazaar walwale uthte dil mein the/
Jaan jo lab pe aayee thi, ye sabab main bezubaan tha

Aap toh khurshid, baadshah-e-falak ek harf bhi na bola/
Lab-e-naseem-o-ru-e-gul par lekin us ka bayaan tha

Jo beeti raah-e-wafa par, zaahir hai sab chehre pe/
Dekh ke naqsha apna darya mein, main bhi kuchh hairaan tha

Chand roz raha yahaan Sifar, kuchh padha, chal guzra/
Bas itna fasaana hai uska, aakhir ko mehmaan tha

No comments:

Post a Comment