March 29, 2011

Aaj Jaagi Hai

1)
Kitne maihtaab sukh se leti
Barf chotiyon par
Khud apni chaadar odhe hue
Aaj jaagi hai

2)
Aur khurshid ne phir ek baar
Apni chhed-khaani se
Uske jism-o-jaan jaga diye hain
Awr pighal kar
Woh utri hai darya mein

Yun ke utarti ho
Panihaari koi panghat par

3)
Haan, seb ke shajar
Abhi sookhe hain
Mannat mein
Apne kaee haath phailaaye hue

4)
Abhi jaana nahin
Ke ghaas haryiaane lagi
Awr idhar-udhar
Chhote-se hazaar peele phool
Zameen ka seena chaak kar
Sar dikhaane ki
Zurrat karne lage hain

Ye zameen bhi aaj jaagi hai

5)
Magar, kab tootega ye nasha?
Kab ye khalqat kab jaagegi?
Imaan kab maihkega?
Kab fakiri chahkegi?

Inshal Allah!
Aaj ye khalqat jaagegi!

No comments:

Post a Comment