March 10, 2011

Qaatil Raat

Utar rahi hai haule se zameen par raat kuchh aise
Rakh diya ho kisi ne pyaar se sar par haath jaise

Aur saare ranj-o-gham jaise yak-ba-yak mit gaye hon
Shab ke dhundhalke mein jaise sab gile gum ho gaye hon
Maano ek baar phir jaise aashna ham-tum ho gaye hon

Hoshiyaar! Ye mahaz ek haseen fareb hai
Is raat ke paaon mein chaahe
Taaron ki damakti hui paazeb hai
Magar uske narm haath
Tanhai ka khanjar liye hue hain
Jis khanjar se usne kitne hi
Alam-naseebon ke qatl kiye hue hain
Uske mahakte hue lab
Laakhon dil-figaaron ka lahu piye hue hain

Raat ke shireen honton ki baaton mein mat aana
Uski sust-gaam chaal ke nashe se dil mat lagaana
Ye raat toh ek beraham peshewar qaatil hai
Chaahe kitni hi mushkbu-o-timtimaati-o-nasheeli kyon na ho raat
Is qaatil raat ke narm haathon pe mat jaana
Is qaatil raat ke narm haathon hargiz mat aana

No comments:

Post a Comment