March 17, 2011

Kya Hoga

Nahin khulta ke hashr-e-dil-figaar kya hoga
Kahe koi anjaam-e-ishq-e-husn-e-bezaar kya hoga

Yaad hi unki kaafi hai jaan ki kharaabi ke liye
Ho jaaye gar kahin unka deedaar kya hoga

Daali ho khu ladakpan se jisne teri naawak-nigaahi ki
Phir us mard-e-jawaan ko khauf-e-daar kya hoga

Kar chuki jab raakh har kali dil ki aatish-e-hijr
Haseen kitni bhi ho phir ab ke bahaar kya hoga

Patthar nahi pighalte aag kitni hi kyun na bhadke
Kijiye jo shar’h-e-aarzoo baar-baar kya hoga

Hai muntazir jo aashiq qaza-e-maihwashaan ke liye
Usey kisi aur maihbooba ka intezaar kya hoga

Apni hi gali mein kya kam zillat mili hai Sifar
Chale gaye junoon mein ham jo ku-e-yaar kya hoga

No comments:

Post a Comment