April 08, 2011

Aap badhiye Anna, ham saath hain

Aap badhiye Anna, ham saath hain
Aap jism-o-jaan-e-watan
Ham aapke paaon awr haath hain

Aap badhiye Anna, ham saath hain

Iska Allah, uska Isa, uska Ram hai
Ye shaihar ka khaas, woh aam hai
Koi boodha, koi naujawaan hai
Ye hakim, woh mutrib, woh tarkhaan hai

Aap badhiye Anna, ham saath hain

Bauhat pee chuke lahu zerdaston ka
Bauhat chaba chuke haddiyaan natawaanon ki
Muflison ke niwaale chheen kar bhi
Nahin miti abhi hawas hukm-shaahon ki

Aap badhiye Anna, ham saath hain

Is naasoor se chhutkaara paana hai
Is hukoomat-e-sitam ko hataana hai
Rukh-e-mulk par lagi siyahi ko mitaana hai
Ek naya Hindustan banaana hai

Aap badhiye Anna, ham saath hain

No comments:

Post a Comment