April 15, 2011

Kaun Hai

Malka-e-shaihr-e-dil sa haseen yaar kaun hai
Aisa qaraar-e-dil-e-beqaraar kaun hai

Har peshaani ba-shikan, har dil choor ba-thakan
Jis par nahin giraani-e-gham-e-rozgaar kaun hai

Maana ke batori hai toone daulat be-shumaar
Bol magar tera aziz, tera gham-khwaar kaun hai

Hai zaahir ja-ba-ja, awr maujood kahin nahin
Har shai mein jo pinhaan, woh pur-asraar kaun hai

Kahta hai daba-daba, rahta hai bujha-bujha
Bata kucch toh Sifar, teri-wajha-e-aazaar kaun hai

No comments:

Post a Comment