April 12, 2011

Baaki Na Raha

Shab-o-roz ke phere mein hasti ka nishaan kuchh baaki na raha
Umeed koi na yaad kisi ki, dard ka saamaan kuchh baaki na raha

Na chhooan-e-aariz-e-makhmali, na hi maihak-e-lab-e-surkh
Na aakhir-e-shab woh bekhudi, khatra-e-jaan kuchh baaki na raha

Shab-e-hijr se aage ye dil bhi ek baag-e-pur-bahaar tha
Lala-o-gul sab ujad gaye, zauq-e-gulistaan kuchh baaki na raha

Wisaal-e-sanam, nazr-e-karam, madaawa-e-alam mein ek nahin
Is dil-e-ghaayal-e-gham-e-ulfat mein ab armaan kuchh baaki na raha

Tarz-e-ibaadat bhool chuke, maani-e-sadaaqat yaad nahin
Sa’at-e-ibteda-e-shauq ka Sifar unwaan kuchh baaki na raha

No comments:

Post a Comment