November 06, 2011

Dil Toh Dukha Hoga

Chali jab sard hawa-e-shab-e-hijr, dil toh dukha hoga
Maihki jab sahar hujra-e-tanhaai mein, dil toh dukha hoga

Harf-e-jhoot toh band kamron hi mein achhe lagte hain
Kiya jab kisi ne sar-e-baazaar inkaar-e-ishq, dil toh dukha hoga

Ham bhi bhi the teri bazm mein, go nazar-andaaz
Aah jab nikli us khaali jagah se, dil toh dukha hoga

Chalo, phir yun milein jaise ham kabhi aashna na the
Magar jab aayee hogi yaad us aashnaai ki, dil toh dukha hoga

Shauhrat gayi, daulat gayi, kaunsi apni sarmaaya thi?
Bika tha magar Sifar jis roz imaan, dil toh dukha hoga

No comments:

Post a Comment