November 06, 2011

Maazi-o-farda

Thake hue sawaalon
Ke uktaae hue jawaab
Kuchh bhatke hue iraade
Chand bhoole hue hisaab
Woh chaihron ke pairaahan
Woh dilon par dhake nakaab

Awr kahin door
Jaise kisi awr duniya mein
Ujde hue khwaabon
Ki sulagti laashon
Se uthta hua dhooaan

Jab in surkh aankhon se
Nami nichod jaata hai
Toh log sochte hain
Ke main phir gham-e-maazi
Mein dooba hoon

Magar is dil-e-bismil mein
Ek saihma hua sa khwaab ab bhi hai
Ye umeed ke woh aa jaaye
Is hujra-e-tanhai mein be-hijaab ab bhi hai
Abr se dhaka hi sahi
Falak mein maihtaab ab bhi hai

No comments:

Post a Comment