November 06, 2011

Hua Tha

Aandhi si chali thi, toofaan sa hua tha
Ek nazar uthi si thi, qatl-e-jaan sa hua tha

Kyon raah chalte koi, kare apni buraayi?
Kya is duniya mein main hi, naadaan sa hua tha?

Ab kya kahein tumse, us nau-shabaab ke jalwe
Bas aise ke main us roz hi, jawaan sa hua tha

Kal darya ki maujon mein, kuchh apni si jhalak thi
Us raftaar-e-haq mein main bhi, qurbaan sa hua tha

Yun jhoom ke nikla Sifar, kuchh apna janaaza
Sunte hain ke khud qaatil bhi, pareshaan sa hua tha

No comments:

Post a Comment