April 14, 2010

Aaya Hoon

tum mujhe kya neechaa dikhaaoge, main toh zameen hi se aaya hoon
zameen hi mein dhas jaaoonga kal, sirf aaj-bhar ke liye aaya hoon

yun na lautaao be—aabroo kar ke dar se mujhe, ae ahl-e-karam
maana ke haath mere khaali hain, dil toh duaaen bhar ke laaya hoon

jhukaaoon bhi gar jo kisi ki chaukhat pe sar, kya haasil?
kya le jaaoonga is jahaan se main, kya main saath lekar aaya hoon?

aashiqi–o-ghulaami mein jo farq hai kahta hoon suno
dil bichhaaye gaya tha us ke dar pe main, sar uthaaye laut aaya hoon

na jism mera, na jigar mera, na hi dhadkanen meri apni hai Sifar
har qatra-e-khoon bhi us ka hai, main toh bas us be-shakl ka saaya hoon

No comments:

Post a Comment