April 01, 2010

Aaya Hai

Na woh aaye hain, na unka paigaam aaya hai
Beshaq dil-e-choor ka waqt-e-anjaam aaya hai

Kya gham ke mere dar par aaya na woh kabhi
Kya kam ke khayal uska subh-o-shaam aaya hai

Yeh gul jo khil rahen hain meri mazaar gird
Jaano ke baad-e-marg unka salaam aaya hai

Na manzil hai, na raah hai, na hi saathi hai koi
Kaisa raah-e-wafa mein yeh maqaam aaya hai

Kyon baadalon ko choomta hua chal raha hoon main?
Suna hai lab-e-butaan pe mera naam aaya hai

Sunte hain chashm-e-zaalim aaj ashkbaar thi
Marna hamara chalo, kuchh toh kaam aaya hai

Nahin hota hai farq deewaangi main oonch-neench ka
Ku-e-yaar mein dekho har khaas-o-aam aaya hai

Ab dekhna deewaangi kahte hain kisey Sifar
Baad muddat pyaase ke haath ek jam aaya hai

No comments:

Post a Comment