April 01, 2010

Inquilab, Dobaara

sookh chukeen khoon ki chheetein
khaak mein mil chuke kuchh jism, kuchh dhooaan ho chale
uth-uth kar khaamosh ho chukin noha-garon ki cheekhein

nakhuda samjhe the jise, saudagar nikla
bana phirta tha jo masiha, sitamgar nikla
maana tha marham mazhab ko, so khanjar nikla

phir bhi koi sailaab-sa kyon nahin aaya?
waqt baang-e-qayaamat kyon nahin laaya?
iksath saal ki aazaadi, magar kya paaya?

abhi nahin hai fursat mahfil-e-jaam-o-subu se
nahin ho paayegi kuchh harkat thande lahu se
chhedna hoga inquilab, phir se, shuru se

No comments:

Post a Comment