March 30, 2010

Woh Kya Hua?

Pichhle zamaane mein tha jo majnoon, woh kya hua?
Tha jo vaada-e-nibah-o-josh-e-junoon, woh kya hua?

Hai dushman ke haath gar khanjar, toh kya hua?
Tha jo in ragon mein daudtaa khoon, woh kya hua?

Tha ik pari-chehra qaatil, jis par main mara karta tha
Bin us ke kaise jiyoon – woh kya hua?

Hazaaron umeedein lekar gaya tha dar pe unke
Hashr-e-dil-e-naadaan lekin kya kahoon, woh kya hua?

Yun toh gham-e-zindagi se tanha hi nipat lun, lekin
Woh jo kahta tha, main saath hoon, woh kya hua?

Zamaane waale toh Sifar, aksar hi suna karte hain
Qissa apni deewaangi ka main bhi toh sunoon, woh kya hua?

No comments:

Post a Comment