March 26, 2010

Aao Laut Chalen

Haan woh shab-e-wisaal-e-yaar behad haseen thi
Haan woh mahfil-e-jaam-o-subu bahut kareen thi
Magar yun na tha ke haal-e-duniya se ham begaane the
Fikr-e-rukh-e-sahar bhi hamen, yakeen, thi

Dekhte hi dekhte kahaan se kahaan aa gaya ye watan
Khaayee theen laakhon kasmen, kiye the hazaaron jatan
Phir bhi chaman ka ye ujda-sa haal kaisa?
Har maathe pe shikan, har dil mein malaal kaisa?

Bhule to nahin abhi unko, jo sar pe kafan baandhe phira karte the
Jeete the khulkar tah-e-nok-e-sanaan, aur hans kar mara karte the
Phir hamne ghut-ghut ke jeena kahaan se seekha?
Jaam-e-talkh-e-khudgarzi peena kahaan se seekha?

Aao, laut chalen udhar ko jahaan sarfarosh deewaanon ka basera tha
Siyah aasmaan ki aad mein ek rawshan savera tha
Na tha watan ka saudagar koi, na chain-o-aman ka lutera tha

Aao, laut chalen udhar ko
Aao, laut chalen

No comments:

Post a Comment