March 24, 2010

Phir Ek Baar

kaatne ko daudte hain khaamosh saaye, phir ek baar
aaj waada kar ke bhi woh nahin aaye, phir ek baar

sahar ki surkhi mein nikle the apni hi talaash mein
shaam hui, khaali haath laut aaye, phir ek baar

yoon khafa hua yaar ke jaise kabhi aashna na tha
kis tarah ab koi usey manaaye, phir ek baar

thodi hi door chal kar kyon baith gaye watan ke sipaahi?
aawaaz koi toh ho jo inhe uthaaye, phir ek baar

the jitne bhi khuda, sab dafn ho chuke
ab koi naya masiha aaye, phir ek baar

ab bhi dil-e-choor mein kayee armaan baaqi hain
koi aa kar isey kuchal jaaye, phir ek baar

dekhna tum bhi, kya ghazab dhaate hain ham, sifar
zindagi maut se hamein udhaar le aaye, phir ek baar

No comments:

Post a Comment