March 27, 2010

Chale Gaye

Ab na qulqul-e-mai rahi, na hi charaagh mein lau rahi
Raha ab to halqa-e-gham raha, sab hareef-o-yaar chale gaye

Woh jo karte the humse waada, ke na bichhdenge kabhi,
Na jaane kya gila liye, falak ke paar chale gaye

Suna tha kal bazaar mein, ke unki bazm mein shab-e-yaar hai
Magar ye kya, ke bin bulaaye hum, udhar ko yaar chale gaye

Hue jo chithhde junoon-e-ishq mein, woh hi hamaari shaan the
Ab kya kahen Sifar, kis tarah, woh bhi taar-taar chale gaye

1 comment:

  1. teri jaaN ko jin ki talash thi tere jaaN Nisaar chale gaye.....
    Teri reh mein karte the sar talb sare rehguzaar chale gaye....
    Faiz ka sher yaad aa gaya...
    Aap ki ghazal achchi lagi...

    ReplyDelete