March 24, 2010

Shabdon Ka Saudagar

Ghazalon, geeton, naghmon ka saudagar hoon main
Kabhi soya hua sa, Sifar, kabhi ujaagar hoon main

Kuchh nazmein hain mere paas, dard mein lipti hui
Kucch aadhi-adhoori si hain, aur hain kuchh nipti hui
Sahmi hui si hain kuchh, maano mehbooba aashiq se ho rubaru
Aur kuchh hain mahekti hui, goya ke zulf-e-yaar ki ho khushboo

Sheyr hain kayee aise, jinka har harf maanind-e-lahu aankhon se tapka hai
Aur kuchh aise bhi hain, ke jaise koi angaara-e-khayaal falak ki ore lapka hai
Hain kuchh itne siyah, ke jaise bin-mahtab ki siyah-tareen raat
Aur kuchh itne raushan, ke maano mehr-e-neemroz ki ho baat

Kuchh ghazalon mein hai woh haya, ke jaise nazren jhukaane ki ho aadat
Aur kuchh rakhti hain dil par woh asar, ke jaise ho shor-e-shahaadat
Kuchh mein woh siyah-masti hai, ke jaise saqi ne tamaam maikhana pilaaya ho
Aur kuchh mein hai aisa khauf, ke maanon waqt-e-qayaamat aaya ho

Ghazalon, geeton, naghmon ka saudagar hoon main
Kabhi soya hua sa, Sifar, kabhi ujaagar hoon main

No comments:

Post a Comment